Hawa thami thi zaroor lakin......... hawa thami thi zaroor lakin bari hi mudaat guzar chuki thi Who shaam bhi jaise sisuk rahi thi k zard patton ne aandhion se ajeb Qissa suna diya tha K jisko sun kar tamaam patte sisak rahe thay bilak rahe thay jane kis sanihe k ghum mein shajar jarron se ukhaar chuke thay bohat talasha tha hum ne tum ko har ek rasta har ek waadi har ek parbat har ek ghaati magar kahein se teri khabar na aayi to ye keh ke hum ne dil ko taala hawa thame gayi to dekh lein gay Hum us ke raston ko dhond lein gay mager humari ye khush khyali jo hum ko barbaad kar gayi thi Hawa thami thi zaroor lakin bari hi mudat guzar chuki thi humare baloon ke jangloon mein Safaid chandni utar chuki thi Falk pe tare nahi rahe thay Gulab sare nahi rahe thay Wo jin se basti thi dil ki basti Wo log sare nahi rahe thay Magar ye almiya sab se bala tar tha K hum tumhare nahi rahe thay K tum humare nahi rahe thay hawa thami thi zaroor lakin bari hi mudaat guzar chuki th...