Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2014

Kaha Tha Na

Kaha Tha Na K Youn Sote Hue  Mat Chor K Jana Mujhy Beshak Jga Dena Bta Dena Tumhain Rasta Badalna Hai  Meri Had Sy Nikalna Hai Tumhain Kis Baat Ka Dar Tha Main Tumhain Jane Nahi Deta Kahin Py Qaid Kr Leta Ary Pagal Mohabat Ki Tabiat Main Zabardasti Nahi Hoti Jisy Rasta Badalna Ho Usy Rasta Badalny Se Jisy Had Sy Nikalna Ho Usy Had Sy Nikalny Sy Na Koi Rok Raya Hai Na Koi Rok Paye Ga Tu Tumhain Kis Baat Ka Dar Tha Mujy Beshak Jaga Dety Me Tumko Dekah He Leta Tumhain Koi Dua Deta Kamazkam Youn Tu Na Hota Mery Sathi Ye Haqiqat Hai Tumhary Baad Khone K Lie Kuch Bhi Nai Baki Magar Main Khone Sy Darta Hoon Main Ab Sony Sy Darta Hoon Kaha Tha Na Youn Chor Kr Mat Jana .........................

Hawa thami thi zaroor lakin.........

Hawa thami thi zaroor lakin......... hawa thami thi zaroor lakin bari hi mudaat guzar chuki thi who shaam bhi jaise sisuk rahi thi k zard patton ne aandhion se ajab Qissa suna diya tha k jisko sun kar tamaam patte sisak rahe thay bilak rahe thay jane kis sanihe k ghum mein shajar jarron se ukhaar chuke thay bohat talasha tha hum ne tum ko har ek rasta har ek waadi har ek parbat har ek ghaati magar kahein se teri khabar nahi aayi. to ye keh ke hum ne dil ko taala hawa thame gayi to dekh lein gay hum us ke raston ko dhond lein gay mager humari ye khush khyali jo hum ko barbaad kar gayi thi hawa thami thi zaroor lakin bari hi mudat guzar chuki thi humare baloon ke jangloon mein safaid chandni utar chuki thi falk pe tare nahi rahe thay gulab sare nahi rahe thay wo jin se basti thi dil ki basti wo log sare nahi rahe thay magar ye almiya sab se bala tar tha k hum tumhare nahi rahe thay k tum humare nahi rahe thay hawa thami thi zaroor lakin bari hi mudaat guzar chuki thi ........... Rao Abd